10 Vastu Tips for Home to Attract Prosperity During Navratri
Placing auspicious symbols on the main doors attracts good luck and prosperity.
Navratri, jo 9 din tak chalti hai, ek Hindu festival hai jisme Mata Durga ke alag-alag roopon ki pooja ki jaati hai. Is festival ka antim din Vijayadashami ya Dussehra hota hai. is saal 3 Oct, 2024 ko Navratri Start Hogi or Sat, 12 Oct, 2024 ko Dussehra Manaya jayega yaniki aakhri din hoga. Navratri ke dauran log apne ghar ko saaf safai ka khas dhyan rakhte hai aur sajate hai, taaki unke ghar mein shanti aur samriddhi aaye. Vastu Shastra ke kuchh niyam hote hain jo positive environment banane mein madad karte hain aur negative energies ko door karte hain.
1. Ghar ki safaai
Navratri ke pehle apne ghar ki achhi tarah safaai karein. Unwanted cheezein jaise purane kapde, kitaabein, furniture, etc. ko nikaal dein. Vastu ke hisaab se Navratri ke dauran sabhi diwaaron par paani chhidakna bhi shubh hota hai.
2. Main door Vastu
Main entrance par ek Swastik ka symbol banaayein, jo ki red ya yellow rang ka ho, aur usme chawal ka upyog karein. Swastik banane se positive energy aati hai aur negative energy door hoti hai. Navratri ke dauran yeh aur bhi zyada shubh mana jata hai.
3. Toran se sajavat
Main entrance par mango leaves, ya ashoka leaves ka toran latkayein. Yeh Lakshmi ji se jude hote hain aur ghar mein sukh-samriddhi le aate hain. Mango leaves ko mandir aur main gate par latkana bahut hi shubh hota hai.
4. Durga maa ki murti ka sahi sthaan
Puja ghar hamesha saaf aur suvyavsthit hona chahiye. Durga maa ki murti ko ghar ke northeast corner mein rakhna chahiye. Hamesha murti ko ek uchit chowki par rakhna zaroori hai, jo kam se kam 5 foot uchi ho. Puja ke saamaan ko southeast direction mein rakhein, jo Devi ka ashirwad laata hai.
5. Sahi disha mein puja
Navratri ke dauran puja karte samay east ya north direction mein face karke baithna chahiye. Yeh success aur courage ko attract karta hai.
6. Mandir ke essentials
Navratri ke pehle din ek Kalash, jo paani aur phoolon se bhara ho, mandir mein rakhein. Antim din us Kalash ka paani poore ghar mein chhidke. Yeh financial status ko strong karta hai. Ek Akhand Jyoti (ghee diya) mandir mein jalana bhi Vastu ke hisaab se shubh mana jata hai, jo shanti aur sukh ko badhata hai.
7. Celebrations ke liye sahi rang
Navratri mein puja ke liye purple, green, pink, ya yellow rang chun sakte hain. Devi ko zyada tar red vastra mein sajaya jata hai, jo shubh mana jata hai. Puja ke liye silver ya copper ke utensils ka upyog karein.
8. Tulsi ka paudha
Vastu ke hisaab se, Tulsi ka paudha ghar ke northeast corner mein rakhna chahiye. Yeh ghar mein shanti aur positivity laata hai, aur health problems ko bhi door karta hai.
9. Chandan ka upyog
Chandan ek pavitra puja material mana jata hai jo Devi-Diwataon ke liye use hota hai. Log apne maathe par chandan ka tilak bhi lagate hain, jo shanti aur positivity ko attract karta hai. Navratri ke dauran puja mein chandan ka upyog karne se puja ke labh aur badh jaate hain.
10. Shankh ka bajana
Vastu ke anusaar, shankh bajane aur ghanti bajane se ghar mein positive energy aati hai aur negative energies door hoti hain. Shankh bajane se Devi bhi prasan hoti hain aur ghar mein sukh samriddhi aati hai.
Is Navratri, in 10 Vastu tips ko follow karke apne ghar mein samriddhi aur shanti ko invite karein.